Meera Bhajan (Bhajans of MiraBai)


Meera is known for many beautiful bhajans that she sung in praise of lord Krishna. Few of the famous bhajan lyrics are as below:


Aisi Lagi Lagan, Meera Ho Gai Magan ...

Aisi lagi lagan, meera ho gayi magan
Wo to gali-gali hari guna ganne lagi
Mehlo mein pali, ban ke jogun chali
Meera rani divani kahane lagi
Aisi lagi lagan, meera ho gayi magan - 2

Koi roke nahi, koi toke nahi
Meera govinda gopal-e ganne lagi
Baithi santon ke sang, rangi mohan ke rang
Meera premi pritam ko manane lagi

Aisi lagi lagan, meera ho gayi magan
Wo to gali-gali hari guna ganne lagi
Mehlo mein pali, ban ke jogun chali
Meera rani divani kahane lagi
Aisi lagi lagan, meera ho gayi magan - 2

Rana ne vish diya, mano amrit piya
Meera sagar mein sarita samane lagi
Dukh-e lakhon sahe, mukse govind kahe
Meera govinda gopal-e ganne lagi

Aisi lagi lagan, meera ho gayi magan
Wo to gali-gali hari guna ganne lagi
Mehlo mein pali, ban ke jogun chali
Meera rani divani kahane lagi
Aisi lagi lagan, meera ho gayi magan - 3

 

Paayoji Maine Shyaam Ratan Dhan Paayo ...

Paayoji maine shyaam ratan dhan paayo - 2

Janam janam ki punji paayi,
Jag me sabhi khovaayo,
Paayoji maine shyaam ratan dhan paayo - 2

Kharch na laage koi chor na loote,
Din din hot savaayo,
Paayoji maine shyaam ratan dhan paayo - 2

Satki naav khevaaya sat guru,
Kari kripa apanaayo,
Paayoji maine shyaam ratan dhan paayo - 2

Mira ke prabhu giridhar nagar,
Harshi harshi jas gaayo,
Paayoji maine shyaam ratan dhan paayo - 2

 

Jo Tum Chhoodo Piya, Main Nahi Chhodu re ...

Jo tum chhoodo piya
Main nahi chhodu re
Tosai preet joudi Krishna
Kaun sang joudu re…


Meera nai toe keh daala,
Main kya boolu mere Ram,
Is kalyug ke bhoolbhlaiya mein khoye
Mere who sawarai, sunder Shyam

Janam sai he, iss vyakkol mann mein,
Ek pyaas ajeeb samayee hai
Mein bhi banoo ek din piya ki pyaree
Yeh tujhe se duhai hai

Itna toe batla de o Bhagwan
Is bhanwar mein jo tune utaara hai
Mere Kanha ko bhi is kalyug mein
Behshaque tone kahin banaaya hai

Mann main bassi hai moore Prabhu
Meera ki he madhoor vani,
Tann mein agann jale hai morai
Radha se mai prem diwanee

Iss matwali kaari duniya mein
Morai Kaanha, tohe kahan dhoondhu mai,
Mein tori raah ektook ho dekhoo
Bus aur kuch bhi naa janoo mai

Pal bhi yeh aass nahi mitt-paatee
Ke ek din tu bhi aayeega,
Is bawari, akeli bairagan ko he
Tu saprem apni Radha banayega